Monday, 28 December 2015

Kuch baate, kuch mulakate

Kuch purani baato se mulakat ho gai,
Mulakat se yaad ki fir se barsaat ho gai,
Muskura rahi thi ye aankhe,
Aur dil ki ye aankho se fariyad ho gai...
Bheeg ke in yaado me tum muskura rahi ho,
Kyu dard apne andar ka, mujme chupa rahi ho,
Bicha kar muskurahate un pyari si palko pe,
Kyu tum mujko rula rahi ho...

Fariyad apni jata kar, aankho ko usne rulaya,
Roti aankhe sang is dil se kuch or yaado ko bulaya,

Roo kar aankhe bol uthi,
Sawal ka jawab khol uthi,
Kyu tu yaado ko lata he,
Lakar unko sehlata he,
Agar bardasth nai kar sakta,
To kyu tu unko bulata he,

Main muskurati hu tera dard chipane ko,
Ghabharati hu duniya ko vo batane ko,

Kahi ye nami fir na aa jae,
Aasu ban palko se, yaade fir na beh jae...

Behti yaade dekh aankhe fir nam ho gai,
Kuch purani baato se mulakat ho gai...

No comments:

Post a Comment